Koi rishta nahi bunta
Koi naata nahi sajta
Ke jab tak dil nahi maaney
Shikasta har qadam sabka
bhalley kitney hee ansoo
boondh boondh ho rahey hon gumm
Koi gham khwaar nahi
Jab talak chehra na woh dikhta
Pareshaan laakh apney hon
Zubann pe wird jaari hon
Koi mutlab nahi zahir
Bayan jo tu nahi karta
Jatun sau baar bhi karle
Tu apney haath se sadqa
Mujhey khali hee lagta hey
Nashemun apney angun ka
Ke rishtey bun nahi paatey
faqat ik khoon ke bul pe
Ye woh qissa hey ke jis main
Zamaney ki shikayat hey
Nahi aasaan magar phir bhi
Chalo ik baar to dekhein
Safar jo hum ne kaata hey
Ussey milkar zara sochein
Ke jab ik umr kaati ho
Kisi ki chah main tumne
Mila ho woh sitamgar to
Khudaara dil nahi rota
Nahi ehsaas jis main woh
Koi rishta nahi hota
Khalish jis main na ho poshaan
Woh gham dil ka nahi hota