(My first attempt at Urdu Shairee! Somehow the emotions were'nt getting through in English!)
Yun
baras ye beet gaye
Kuch
sochtey kuch jaantey
Khwab
they ankhon main woh
Jo
neendh ke mehmaan they…
Hum
chal rahey they saath saath
Go
raastey anjaan they
Meree
bhi khwahishen thein kuch
Terey
bhi kuch armaan they…
Thein
muskurahaten bahot
Ansoo
bhi imtihaan ke
Umeed
ke sailaab main
Behtey
they kamraan se…
Kuch
zindagee ki luzzat
Kuch
husraton ki chahat
Kuch
jeet ki tamanna
Kuch
haar se bhaghawat…
Kis
kushmakush main they hum
Kis
bojh ko uthaye
Ke
parh na paye woh thukkun
Lambey
they jis ke saaye…
Uss
aik pal main jaisey
Har
baat ho gayee gumm
Na
roshni subah ki
Na
chandni qaba ki…
Woh
jisko hum ne chaha
Khwabon
ki chashni main
Duniya
wohi thee saari
Manzil
thee woh hamaree…
Kya
luzzaton ka mutlab
Kya
khwahishon ke maa’ni
Woh
raastey hamarey
Veeran
they bin tumharey…