Monday, June 25, 2012

Woh Raastey Hamarey



(My first attempt at Urdu Shairee! Somehow the emotions were'nt getting through in English!)

Yun baras ye beet gaye
Kuch sochtey kuch jaantey
Khwab they ankhon main woh
Jo neendh ke mehmaan they…

Hum chal rahey they saath saath
Go raastey anjaan they
Meree bhi khwahishen thein kuch
Terey bhi kuch armaan they…

Thein muskurahaten bahot
Ansoo bhi imtihaan ke
Umeed ke sailaab main
Behtey they kamraan se…

Kuch zindagee ki luzzat
Kuch husraton ki chahat
Kuch jeet ki tamanna
Kuch haar se bhaghawat…

Kis kushmakush main they hum
Kis bojh ko uthaye
Ke parh na paye woh thukkun
Lambey they jis ke saaye…

Uss aik pal main jaisey
Har baat ho gayee gumm
Na roshni subah ki
Na chandni qaba ki…

Woh jisko hum ne chaha
Khwabon ki chashni main
Duniya wohi thee saari
Manzil thee woh hamaree…

Kya luzzaton ka mutlab
Kya khwahishon ke maa’ni
Woh raastey hamarey
Veeran they bin tumharey…

3 comments:

  1. Excellent Shama ji...... ap nay apnay khiyaalaat ,Jabaat o Ihsasaat ko jis piyaray andaaz main alfaaz ki laryioon main paroya hay ..... mai sirf itna hi kah sakta hon kay aap kay haan taza khiyaalaat and un choyay Jazbaat ki farawani hay .. and ap in future ap Azaad Nazam ki achi shayaraa sabit ho saktin hain...InshahAllah
    Regards..
    Arbaab Alam

    ReplyDelete
  2. Thank u so much Arbab Sahab. Yun to jazbaat kisi zubaan ke mohtaaj nahi, par kabhi kabhi zabaan apney asar se jazbon ki sachai ko nikhar deti hey. :)

    ReplyDelete
  3. bilkul sahih kaha ap nay..aur ap nay jis tara ap nay khoobsorat , saada aur aam feham Alfaaz istimaal kiyay hain . is say ap kay jazboon ki sachayi, Lafzoon ki Hurmat aur Harfoon ki Qadar o Manzilat ka bakhoobi andaza ho raha hay ....Allah karay Zoor e Kalam aur Ziada ........

    ReplyDelete