Jis ghar main hum tum rehtey hain
Woh kutba jiskey seeney pe
Hum Pakistani likhtey hain
Phir ghar ke andar daakhil hon
To sabzey ki bohchaar hey
Jab mausam-e-khizaan ho to
Gherey howey kohsaar hain
Khiltee howi se khwahishon ke
Phool beshumaar hain
Mehnat ki kiyariyon main yun
Rangeen sabzazaar hain
Roshan hain iskey raastey
Kuch mushkilon ki dhool hey
Mausam ki sakhtiyaan hain kuch
Aur kuch nazar ki bhool hey
Hey gehwaara ye khushiyon ka
Yahan sab apney se lugtey hain
Jo door hain iski khushboo se
Woh yaad issi ko kartey hain
Is ghar main rehney walon ki
Apni apni pehchaan hey
Apney hain inkey faisley
Aur apni hi uraan hey
Iskey samundaron main hey
Woh soch ki gehraiyaan
Woh aqal ki maujein sabhi
Woh Fikr ki tanhaiyaan
Ye chutt hamaree chaoon hey
Muskun hey ye sakoon ka
Milta hey har lamha wahin
Ye ashiyaan yaqeen ka
Ismey hunar, ismey kamal
Iska har ik fard be-misaal
Duniya main roshan naam ho
Azmat teri pehchaan ho
Ab unki bhi to baat karo
Jo roz sawerey uthtey hain
Andher gharondey ki chutt par
Umeed ke taarey buntey hain
Mitti se jinko pyaar hey
Jo yaad main iski ghultey hain
Tum unki bhi to baat karo
Jo sirf watan pe murtey hain
Nakaam hoi jinki tadbeer
Jo qismaton se lartey hain
Tum unki bhi to baat karo
Jo kohshishon se burhtey hain
Ye hey kahani us ghar ki
Jis ghar main hum tum rehtey hain
Woh kutba jiskey seeney pe
Hum Pakistani likhtey hain
No comments:
Post a Comment